2017-02-20

Blogging Shuru Karne Ke Liye Top10 Topics | Top10 Topics(Niche) to Start A Blog




top10-topics-to-start-a-blog-hindi
Blogging ek aisi website hai jispe aap apne thoughts ya apna knowledge share kr public ki help kr skte hai.Sath hi sath usse paisa bhi earn kr skte hai.

Aaj ke time me millions blogger online hai or alag alag topic pe blogging krr rhe hai or apna busisness growth krre hai. Inme se kuchh topics waale blog aise hote hai jo instant popular ho jaate hai. Aaj hm baat krenge ki hme kis topic pe blog start krna chahiye ki hmaari website instant famous ho jaaye.

Bhut se log aise hote hai jo blogging krna to chahte hai but wo ye decide nai kr paate ki kis niche(topic) pe blog start kre.

Blogging startup krne waalo ke lie What Do We Blog About? ye bhut hi bara question hai. But iska answer bhut hi simple hai.

Jb aap blogging start krne ke lie kisi blogger se baat kroge to 95% bloggers ka answer hoga
"Aap uss topic pe blog start kro jo topic aapko dil se psnd ho taaki uss topic pe aap long time work kr sko."

But fir v log iss answer se satisfy nai hote or yhi sochte reh jaate hai ki yaar mko kon sa topic psnd hai. or wo apne blog ke liye ek achha sa topic select nai kr paate.


Blogging Start Krne Ke Liye Top10 Most Popular Topics :-



1. How To

Internet pe bhot saare aise blog hai jin par helping articles yaa How To waale articles share kiye jaate hai.

Iska sbse achha example www.wikihow.com hai. And ye website world popular hai.

Agar aapko apne blog ke lie topic choose krne me problem ho rhi hai to aap iss topic pe blog start kr skte hai.

2. Recipes

Duniya me hrr koi khaane ka diwana hota hai. Or agar aap recipes topic pe article likhenge to instant traffic milenge aapki website ko. And agar aap girl/women hai to aapke lie ye topic best ho skta hai.

4. Beginner Guides

Bhut user aise hote hai jo internet pe kuchh new sikhna chahte hai. Agar aap user ko kisi bhi topic pe guide kr skte ho to aap Beginner Guiding pe blogging kr skte ho.

5. InterView

Aaj ke time me internet pe bhut saare blogger work kr rhe hai. Or users content se jyada unn bloggers ke baare me janna chahte hai. Aise me aap agar bloggers ke interview ka blog start krte ho to kmm time me hi aapka blog popular ho skta hai.

6. Product Review

Hm jbb bhi kisi product ko online/offline khridna chahte hai to use khridne se pehle uske baare me jankaari pta krna chahte hai ki wo product kaisa hai. blah blah

Iss type ke blog me agar seo optimized posts likhe jaaye to kaafi hdd tk popular hone ke chances bdh jaate hai.

7. Internet Stars

Internet pe kis field me kya or kon famous hai iss baare me bhi aap agar jaante hai to blog start kr skte hai.
Aapko most popular peoples ke baare me likhna hai jaise "Top Indian Bloggers of 2017" . Isse aapko bhut saare biggest internet lovers follow krenge and aapka blog popular ho jayega.

8. Funny Stories or Jokes

Duniya me aise logo ki kmi nhi jo funny stories and jokes pdhne me interested hote hai. Mostly indian people funny articles pdhna psnd krte hai.
Agar aap logo ko hsaa ke paisa earn krna chahte hai to aap iss topic pe blog start kr skte hai.

9. Motivational Story

Jb hme kisi kaam se nirasha hath lgti hai to hme jaroorat hoti hai motivation ki jo hmaari toot chuki power ko phir se bdha de.
Isme kai baar kuchh logo ki khi baate bhut hi jyada kaam me aati hai or haare hue insaan ko fir se uss kaam ko krne ki saahs deti hai.
Agar aap logo ke lie inspiritional or motivational content likhoge to aapka blog popular jaroor hga.

10. Troubleshooting Guides

Hmm koi bhi work krte hai to kv na kv koi issue aa hi jaati hai. Aese me aap troubleshooting guides waale content likh logo ki help krr skte hai. Aise blog pe bhut hi jyada traffic hoti hai jo logo ki problems solve kre.


Wraping Up...
Popular topics aate jaate rehte hai. So, mai aapko ye suggest krunga ki aap apne interest ke topic pe blog start kro. Blogging topic aapke interest ka hoga to aap kv bore nai hoge and apne blog ko popular bna paaoge. Jb hm apni pasand ka kaam krte hai to ekdm dil se krte hai. And dil se kiya kaam hmesa kaamyaabi dilata hai.

I hope aapko hmara ye article psnd aaya hoga. Hmaare blog ko subscribe kre taaki aapko blogging se related post ki notification milti rhe.

Or iss post ko share jroor kre.



Don't be selfish... Share this article with your friends :)
Facebook Twitter Google Digg StumbleUpon Reddit LinkedIn Pinterest

Authored by:

1 comment: