2017-05-04

Blogging Karne Ke 10 Fayde Jo Aapko Jarur Janne Chahiye



Blogging ke fayde


Bhut se log ke mind me ye question hota hai ki Blogging se kya benifits hai? Blogging se hme kya milega? Hum blogging kyo kre? Blogging ke fayde kya hai?
Inn sare swalo ka jbab mai aapko iss post me share krne wala hu.

Kai baar aisa hota hai ki hum blogging shuru krte to hai but traffic ya earning kmm hone ki wajah se hum bore ya presan ho jate hai. Aur blogging krna chor dete hai.
Dosto, Mera manna hai ki kisi bhi lakshya ko pane ke liye hme patience (Dhiraj) ki bhut jarurat hoti hai. Aur patience ke sath sath hard work bhi jaruri hota hai.

Jyada log sochte hai ki Blogging krne ka ek hi fayda hai aur wo hai paise kmana. But, aisa nhi hai. Paisa kmaane ke alawa bhi blogging ke bhut sare benifits hai.

Aaj iss post me hum janenge ki Blogging krne ke fayde kya kya hai. To chliye shuru krte hai. :-)

Blogging Karne Ke 10 Fayde





1. You Will Become Your Own Boss

Blogging krne ke sbse bda fayda hai ki aapko kisi ke under kaam nhi krna prega. Apna boss aap khud rhenge. Blogging me aapko apne trike se kaam krne ki puri aazaadi rhegi aur aap jis time chahe kaam kr skte hai. Jb mnn ho chhutti le skte hai. Aap apni dream life jii payenge.

2. Your Writing Skills will Improve

Jitna jyada aap likhenge utna hi jyada aapki writing skill improve hogi. Aapki likhne ki style me improvement hogi. Aap blogging krenge to aap ek sentence par 3000 words ki article likh payenge.

3. You Can Earn Unlimited Money

Time ke sath sath Blogging Industry me bhi kaafi improvement aayi hai. Ab india me bhi log Blogging ko apna Full Time Profession choose kr rhe hai.

Waise aapko mai bta du ki aisa nhi hai ki aap blog shuru krenge aur aapki earning hone lgegi. Earning ke lie aapko patience ki jarurat hoti hai. Earning dheere dheere bdhta hai.

Blogging Industry me kaafi log achha paisa earn kar rhe hai. Aap bhi agar blogging krte hai to aap bhi paisa earn kar skte hai.

4. Your Knowledge Will Improve

Aap blogging krenge to aap jis topic pe apna blog shuru krenge uss topic ke baare me aap master ho jayenge. Sath hi sath aap dusre topics se related bhi bhut kuch sikhenge.

Aapko Designing aur Programming field me bhi kaafi knowledge ho jayegi. Jaise HTML aur CSS.

5. Time Management

Aap jbb blogging field me aate hai to aap time ko manage krna sikh jaate hai. Aap time ko manage krte hai ki iss time pe ye krna hai iss time pe wo krna hai.



Aur aap timepass krne ki jagah apna time blogging ko de skte hai. Isse aapka kimti time waste nhi hota.

6. You Become Entrepreneur

Jab aap khud ka kaam krte hai to apke andr josh rehta hai. Aap apna kaam kisi bhi kimat me pura krna krne ke chaah rkhte hai. Aur wo kaam pura bhi krte hai.

Issi tarah jab aap blogging krte hai to aap apne blog ko popular bnane aur trafic laane ke liye apna saara energy aur sara knowledge lga dete hai. Aur fir apne blog ko ek organisation ka roop dene ki koshish krte hai. Jisse aapke andar entrepreneur bnne ki quality aane lgti hai. Iss tarah se aap ek bahut hi bde entrepreneur ban skte hai.

7. You Will Be Able To Express Yourself

Blogging ek aisa platform hai jiske jariye aap kisi field jaise business, personal finance, cooking, politics, photography, marketing, sports, health, etc.  Jisme bhi aapka interest hai uss field me apne thoughts, ideas aur knowledge dusre logo ke sath share kar sakte hai.
Aap jb apne ideas share krenge to aap khud ko express krna achhi tarah sikh jayenge.

8. You Will Popular

Aap blogging krenge to log aapko janne lgenge. Aap popular ho jayenge. Aap ye kehne me kaafi achha feel krenge ki mai ek blogger hu.

9. You Will Learn Something New Every Day

Jo log blogging krte hai wo roz kuchh n kuchh nya sikhte rehte hai. Kyuki wo hmesha chahte hai ki wo apne readers ke lie kuchh nya article likhe. Aur readers ko kuchh nya dene ke sath sath wo khud bhi roz kuchh n kuchh sikh lete hai.

10. Better Communication Skill

Aap jb ek new article publish krte hai to aapke readers kuchh comment krte hai. Aur unn comments me kuchh comment negative bhi hote hai. Par aap khud ke emotions ko control krke us negative comment ka positive reply dete hai. Isse aapki skill kaafi improve hoti hai aur aapko puri duniya se interact krne ka mauka milta hai.




Dosto, iss post me bss itna hi. Agar aapko hmara ye post psnd aaya to iss post ko jyada se jyada share kre. Taaki har begginer blogger iss post ko pdhe aur iss post se wo kuchh nya sikhe aur unko apne blog ko success bnane me madad mile.

Aap apne swaal humse comment krke puchh skte hai. Hm aapke har swal ka jbab jald se jald denge.



Don't be selfish... Share this article with your friends :)
Facebook Twitter Google Digg StumbleUpon Reddit LinkedIn Pinterest

Authored by:

8 comments:

  1. Sir aapka blog awesome hai maine aapke blog ko bookmark kar liya hai aap bahut achcha post likhte hai

    ReplyDelete
  2. Nice post. Sir mujhe ek bat janni hai ki agar hum hindi me post likhte hai to hum search description me hindi use kare ya english

    ReplyDelete
    Replies
    1. Deepak aap hindi bhi use kar skte hai or english bhi. But mai aapko suggest krunga ki aap hinglish use kre.

      Delete
  3. Ye Palki2 theme hai. But maine ise puri tarah se customize kar diya hai.

    ReplyDelete
  4. Nice article bhai

    ReplyDelete