2017-02-19

Blog Shuru Kaise Kare | How To Start A Blog - Hindi



stat-a-blog-blog-shuru-kaise-kre

Jaisa ki maine aapko pichhle post me btaya ki Blogging kya hota hai. Ab mai aapko btaane ja rha hu ki blog kaise bnaya jata hai. Blog/Website bnana koi muskil kaam nhi hai but jise ye pta na ho use thora muskil lgta hai.
Chliye aaj sikhte hai ki free me Website kaise bnaya jata hai.
Aap hmse connected rhiye. Hum aapko website bnane ke baare me hrr ek chiz sikhayenge.

Website kyo bnani chahiye?


  • Agar aap apna business start krna chahte ho.
  • Internet se aap paisa kmana chahte ho.
  • Aap apna knowledge duniya ke sath share krna chahte ho.

Website(Blog) bnane ke liye kya kya chahiye?


  1. Gmail Account
  2. Computer/Android with Internet 

Blog Kaise Bnaya Jata Hai?


1. Sbse pehle www.blogger.com pe jaye or apni Gmail username and password se login kare.
(Agar aapke aap Gmail Account nhi hai to pehle aap apni Email-Id bna le.)
2. Login krne ke baad left side me New Blog ke naam ka ek button milega uspe click kre
3. Ab ek nya popup window khulega usme aapko apne website ka detials dalna hai.

abhinavajmods
Title : Yha aapko Blog ka naam likhna hai.
Address : Yha aapke ek unique name(url) dena hai. Jo Url pehle kisine use na kiya ho.
Template :  Ye aapke blog ka design hota hai. Mtlb ki aapka blog kaisa dikhega.

(Note:- Aap apne blog ka koi Address rkh skte hai jaise agr aapke blog ka name Shoutersworld hai to shoutersworld.blogspot.com. Agar ye Valid na ho to aap dusra Address rkh le. Jaise shoutersworldblog.blogspot.com ya shoutersworld1999.blogspot.com)

4. Saari details daalne ke baad Create Blog pe click kre.
(Note : Agar aapko template pasand na aaye to aap apne manpasand  ki template bhi lga skte hai. Iske baare me mai aapke next post me btaunga.)

5. Thats It, Aapka blog bnn chuka hai. Ab aap New Post pe click krke apne blog me kuchh post kr skte hai.
Or agar aap apne blog ke Address ko www.shoutersworld.blogspot.com to ww.shoutersworld.com ya apni pasand ka domain set krna chahte hai to aapko Godaddy ya Bigrock se Domain khridna hoga. Domain kaise khrida jaata hai. Ye bhi hum aapko jald hi btaayenge.

Blog bnane ke baad aage kya krna hota hai iske liye hmaari site pe visit krte rhe.
Aap AbhinavAjMods per blogging ke baare me bhut saari post pdh skte hai. Hm blogging related post hmesa krte rhenge. 
Aap hmaare Facebook page ko subscribe kr lijiye ki apko hmari saari post ki notification milti rhe.

Iss post ko share jrur kre.




Don't be selfish... Share this article with your friends :)
Facebook Twitter Google Digg StumbleUpon Reddit LinkedIn Pinterest

Authored by:

0 comments: