2017-02-23

Domain Name Kya Hota Hai? Domain Kaise Khride?



Domain Name Kya Hota Hai? Domain Kaise Khride?
Domain Name Kya Hota Hai?


www.abhinavajmods.com  isme abhinavajmods.com meri site ka domain hai. Iske jariye hum aasaani se wibsite tak phuch skte hai. Domain ke bina hum kisi website ko access nhi kr skte. facebook.com google.com youtube.com sb domain hi hai. Domain bhut tarah ke hote hai. Jaise - .com .in .org .net .gov .edu .co.in .info  or bhi bhut saare.

Aap apni psnd ka koi bhi domain choose kr skte hai. Upar ke udaahrno se aap samajh gye honge ki Domain kya hota hai. Ab chliye jaante hai domain khrida kaise jata hai.

Domain Kha Se Khride?


Domain khridne ke liye to bhut saare website hai but Godaddy or Bigrock kaafi popular hai .Kyuki ye bhut hi cheap yaani sirf  99rupye me domain bechte hai. Magar dhyaan rhe koi bhi website ek user ko 99rupye me domain sirf ek baar hi deti hai. Aap dusra domain khridenge to aapko ek domain ka 800-900rupye dena hoga.

Domain Khridne Ke Liye Kya Jaroori Hai?


  1. MasterCard ATM
  2. Visa ATM
  3. Net Banking

Godaddy Se Domain Kaise Khride?


1.Sbse pahle Godaddy.com pe jaaye or Sign Up krke apna account bna le.

2.Sign Up kr lene ke baad Godaddy ke homepage pe jaaye

3.Search Box me aap jo domain khridna chahte hai use type krke sarch kre

4.Domain select krke Checkout pe click kre.

5.Apni saari details fill kre.

6.Payment kre

7.Congratulations, Aapka domain register ho chuka hai.



Ab aapko Domain blog me add krna hai uski jaankaari ke liye hmaari blog visit krte rhe hum jald hi uske baare me post likhenge

Agar aapko hmaari ye post achhi lge to share krna na bhoole.




Don't be selfish... Share this article with your friends :)
Facebook Twitter Google Digg StumbleUpon Reddit LinkedIn Pinterest

Authored by:

0 comments: