2017-02-22

Blog Ka Template Kaise Change Kare | How To Change Blog Template (Hindi)



Hey Readers,

Blog to bhut log bnaate hai but jb hmaare blog ko visitors nhi milte tb hm lastly upset hokar blogging chhod dete hai ya blogging se bored ho jaate hai. Visitor na milne ki main wajah hoti hai blogging ka theme odd hona. Jo visitors hote hai wo aapki blog pe aate hai to sochte hai " Yaar itti bkwaas look h blog ki.... blah blah". Aapke blog ka theme(template) and font eye catching hona chahiye ki jb visitors aaye to aapka blog aapke visitor ke mind me bss jaaye or wo baar baar aapke blog pe aaye.

So, Aaj mai aapko btaane ja rha hu ki blog ka template kaise change kiya jata hai.

how to upload template in blogger


Wse to blogger ne kaafi theme(template) de rkhe hai. Par agar aap apne blog ka theme kuchh naya dalna chahte hai to aapko template ki zip file download krni pregi.

Template download krne ki kaafi saari website hai. But www.gooyaabitemplates.com ya www.btemplates.com kaafi popular and best hai.

Aap wha se apne psnd ka template(theme) download kr skte hai. Download krne ke baad aapko uss zip file ko extract krna hoga.


Blog Template Kaisa Hona Chahiye?



Blog ki template download krne se pehle ye janna bahut jaroori hai ki blog ke liye kaisa template hona chahiye.
  1. Mobile Friendly
  2. SEO Friendly
  3. Fast Loading


Blog Ka Template Change/Upload Kaise Kre




Sbse pehle Blogger me login kre. Or apna blog open kre.

  1. Left sidebar me se Template pe click kre
  2. Backup/Restore pe click kre.

Ab ek popup window khulegi.


  1. Download Full Template button pe click kr ke apne blog ke template ka backup download kr le. Taaki koi prblm ho to aap restore kr apni purani template upload kr ske.
  2. Choose File pe click kr ke jo aapne template ki zip file download krke xml file extract kiya hai use choose kre.
  3. Xml file choose krne ke baad Upload button pe click krke thora der wait kre.


Thore der me wo page refresh  hoga. Bss ... Ab aap apna blog khol ke dekhe aapke blog ka book badal chuka hoga.

Agar aapko template upload krne me koi dikkt aa rhi hai to niche comment jarur kare.

Or iss post ko social media pe share krna na bhoole.





Don't be selfish... Share this article with your friends :)
Facebook Twitter Google Digg StumbleUpon Reddit LinkedIn Pinterest

Authored by:

0 comments: